Sunday 4 March 2012


"POLLYTHENE"

"Mere yaro ko apne is yaar ka salam,
pahchano yaro! kyunki "V!$h@L" hai mera naaam"

likhne ka mood hua to likhne bheth gaya hou,
kavi na mai koi shayar bus duniya ko dekh rone bheth gaya hou,,



Mere dosto ko mera pyar bhara NAMASKAAR!

Mai kisi ko koi faltu script likh kar bore nahi karna chahta hou . . . ..
bus mera ek chota sa message hai jise apne dosto tak pahuchana chahta hou. . . .


Bahut samay pahle ki baat hai, Devtao ke raja indra our unke saathi swarg mai raha karte the. . . .
Din bhar apsarae nacha karti thi our raat hote hi devta madira pee ke khud. . . .

Bechare rakshas bade pareshan !

swarg ke charo taraf ghumte rahte !

sochte ek jalak to dikhe is swarg ki sundarta !

rakshaso se rakshaso ki patniya pareshaan !

un sab mai sabse bhayankar rakshasni thi ethyline !

usne bhi tay kar liya ki na rahega bans our na bajigi bansiiii !

kar di chadai swarg per !

usne to devtao ko halke mai le liya !

per bhens ki ankh ! devtao ne bhi ethyline ko pachad pachad ke mara !

marte marte prathvi tak le aaye !

bechari ethyline bhagte bhagte jangalo mai chip gayi !

fir usne maa kaali ki ghor tapasya ki !

tapasya se khush hokar maa kaali ne use amar rahne ka vardaan de diya !

ethyline ne fir se swarg per chadai kar di our devtao ko haraya !


devta bechare bhagte bhagte maa kaali ke paas pahunche  . . .. . .

maa kaali ne fir ethyline se naraj hokar use shrap diya ki vo humesha ke liye prathvi per chali jaaye our kabhi vapas na aaye !



Bus mere yaaro yahi hai vi ethyline jo aaz hume pollythine ke roop mai pareshaan kar rahi hai . . . .


plz agar tum is duniya ko apne future mai aane wale bete our betiyo ko save life dena chahte ho to plzzzzz avoid it. . .

bus ek yahi hamari sabse badi dushman hai jo sabse jyada pollution karti hai . . . .

hum bus ek pani ki theli lere hai ! maje se peete hai, our peech ki taraf fenk dete hai, our apne raste chal dete hai !

bus yahi kiya humne sabse bada gunah!

yahi ek pollythine hava mai udegi our fir naali mai jaayegi . . ..
naali mai jakar paani ko rokegi !
pani rukega to pollution !

fir yahi pollythine naali se nikal kar kisi river mai ja giregi . . ..

agar river ke paani ke uper rahegi to pollution !
neeche rahegi to pollution !
pollythine hi pane ke flow ko rokegi!
fir yahi pollythine paani ke saath kheto mai jayegi . . ..
kheto mai jayegi to fir zammen ki upzau shakti ko kam kareki our zameen ko banzar banayegi  . .. . !

per guyes goverment ne pollythene per band laga diya our ab paper ka use pollythene ke jagah hone laga hai . . . .

i think it is bad thing bcoz pollythene ko to pollymers se bana sakte hai per kagaj ko ko pede ko kaat ker hi banana padega!

soch lo guyess tumhe forest trees jyada pasand hai ya pollythen. . 
ab kini ek ko chun na padeha  . . . . .


good byeeeeee ..........



Sunday 1 January 2012

"PAGAL"

hi guyes ,
this is a story of a fool boy who does'nt know about love . . . . . . . .
but then he get fall in love then he know what is love . . . . . . .?

                                    "PAGAL"


PART Ist :

Ye kahani ek ase ladke ki hai jo bilkul hi is duniya se alag hai uska nam hai sahil......
sahil ek bahut hi pyara or acha ladka hai bilkul masoom, duniya se bekhabar , apni duniya mai mast . . . .
usko banane mai bhagwan se ek galti ho jati hai , bhagwan usme akal to bahut jyada dal dete hai per usko istemal karne
ke liye usme dimag nahi dalte . . . .

kahani ek chote se shahar se, ek chote se ghar mai bade se pariwar se shuru hoti hai. . . . . . .
uske pita ji ek jhoota banane wali factory mai kam karte hai or mata ji bache banane wali factory mai matlab. . . . . . . . hospital mai . . . . .


paise ki bahut jyada kami hone ke karan sahil chungi k school se padai karta hai . . . .
chungi ke school mai hamesha vo khadus master ji hi padane ate the per ek din kya hota hai ki achanak se
ek masterni ji uske school mai padane a zati hai . . . . . . . . .
phir kya sahil to tha hi padosiyo ki t.v mai ane wali filmo ka diwana . . . .
bus ek rat pahle hi dekhi thi "kuch kuch hota hai " or kya masterni ji ko dekh kar sahil ko bhe kuch kuch hone laga . . . .

are jyada kuch nahi bus use to us din potty lagi thi kyuki us din vo gar se karke nahi aya tha . . . . karke bhi kaise ata bhathroom mai to uske papa ek gante se so rahe the . . . . kyuki iske papa mante the ki bhathroom ka matlab hota hai
"sochalay" matlab soch ka ghar jahan aram se bheth kar sochte raho. . . .

ab bechara sahil kare bhi to kya kare masterni ji se sharam ke mare kahe kaise. . . . . . . . . . . . . . .
vo achanak se apni patti se khada hota hai or bhag jata hai , fir masterni ji uske loatne per poochti hai kahan gaye the?
to usne bhi kah diya "ek loate pani ki kimat aap kya samjo masterni ji "

bus sahil to masterni ji ka deewana tha , , jab masterni ji use kabi pyar se bat karti thi to sahil sochta tha ki masterni ji bhi usse pyar karne lagi hai , , , , sahil bhi ab bahut pareshan tha bus usne to ek hi rat laga rakhi thi ki bus masterni ji ko propose kese karna hai , , ,phir kya tha ek din pahuch gaya masterni ji ke gar to pucha jab masterni ji ne k kese ana hua to sahil ne bhi kah diya "tere chahre mai vo jadu h , bin dor khicha jata hau, jana hota hai kahi our teri or chala ata huo. . . . . "

tabi madam ne bhi uske tadak se jhapad mara or kaha PAGAL. . . vahi signal red . . . . .

[BUS MIL GAYA MUJE MERI KAHANI KA TITLE. . . . .]

bechare sahil ka bhi us din dil tut gaya . . . . . . . per tha to bechara filmo ka deewana bus kuch sad song sun kar sahan kar gaya per masterni ji kaha sahan karne wali thi . . pahuch gayi sahil ke gar shikayat karne . . . . . .
fir kya the nazare kabi papa ki lat pade to kabi mammy ka velan . . . . . . ye to kuch der ki baat thi per us din ke baad kai dino tak padne wale tano ki barish kon sahan karne wala tha . . . . . . .
kai dino tak bechara gam mai pada raha abhi uski umra hi kya thi bus 7 saal or itni choti si umra mai itna bada SADMA. . . . . . . . fir ek din usne apne dost ko apne pyar ke bare mai bataya dost bhi usi ki tarah kamal ka tha usne bhi use pyar ka sahi matlab batlaya . . . . . . usne kaha k vo sahil ko pyar ki live telicast film dikhayega or fir kya tha . . . . . .

rat ko 10 baje gar ke samne wale khali plot mai , neem ke ped k neeche usne bhi use mobile mai blue films dikha hi di .. . . fir kya tha bus sahil samaj gaya k love kya hota hai. . . . . .


bus ab yahi se shuru hoti hai asli kahani . . . .


PART IInd :


Ab tak to shayad aap log bhi samaj chuke honge ke is kahani ka base kya hai LOVE STORY ya FUCKSTORY. . . . . . . . . . nahi guyess ye realy mai ek LOVESTORY hai per bheech mai thodi si FUCKSTORY bhi hai . . . . . . plz coprate. . . .


sahil ab thoda bada ho chuka hai per uski soch our dimag abhi vahi ka vahi hai bus thode se khayalat badal gaye hai . .
ab vo bhi koi 6 , 7 class ka student nahi raha ab vo bhi 10th class ka student hai . . .
our ab uski film dekhne ka najariya bhi badal gaya hai or ab use bhi LOVE STORY wali filme pasand nahi hai . . . . ab to use muni or sheela ki zawani jyada pasand aane lagi hai or masterni ji ko chod use masterni ji ki cheliya jyada pasand hai . . . . . or class ki sari choriyo ko sahil. . . . . .

sahil ki pagalpantiyo ko dekh kar sab use pagal samajte the per choriya to uski inhi pagalpantiyo ki diwani thi. . . . .
bus use to sabse pyar chahiye tha vo pyar nahi use to ab physical pyar chahiye tha or vo to samajta hi tha isi pyar ki definition ko . . . .

use ek ladki bahut pasand thi naam tha uska anjali . . . . . . fir kya tha use anjali se bhi pyar ho jata hai per anjali bahut sheedhi sadhi ladki thi per vo kaha sahil ke pyar ke kabil thi . . . . . . per man hi man sahil ko vo bhi chahti thi . . . .
kaha vo anjali class ki toper or kaha ye sahil filmo ka diwana . . . . . .

ek din anjali apni 11 no. ki gadi se apne gar ja rahi thi fir kya sahil ne bhe shuru kar diya apna "MISSION A" . . . .
sahil uska peecha karte karte uske gar tak pahunch gaya . . . . . . or jor jor se sitee bajane laga . . . . . . tabi anjali ki mummy ati hai or uper wallconi se kuda fenk jati hai . . . . . kyunki anjali ki mummy ko lagta hai ki munciparty wala kuda lene aya hai. . . . . . . .
bechare sahil ki to ho hati hai bezZati. . . . . .
per ye baat anjali ko pata hoti hai or use bhi badi guilty feel hoti hai or fir anjali bhi dusre din sahil se sorry bol deti hai
per sahil bhi koi kam notankivaaz na tha aise acting karne laga jese bechare ko kuch pata hi na ho . . . . .
per sahil baad mai accept karleta hai . . . .


{OR TO AGE KI KAHANI AAP SAB LOG JANTE HAI BUS HO GAI LOVESTORY SHURU . . . . }


ab sahil ki anjali se roz baat hone lagi pahle to baat padai likhai ki hoti thi per sahil ko to ye baten gandi lagti thi use to bus apne maksad se matlab hota hai . . . . . fir ase hi roz baten hone lagi , ankho se ankhe ladne lagi fir kya tha bus ho gaye shuru nain mattakke . . . . .
ho gai ek or prem kahani ki suruat . . . . . .
per sahil ko to bus usse apne matlab pura karna tha usse anjali ki feelings se kya matlab . . . . . per anjali ko to sahil se real love ho chuka tha per sahil is baat ko kaha samajne wala tha . . . . .

anjali or ek dusre ko chahne lage per sahil anjali ko kisi or vajah se chahta tha or anjali kisi or maksad se . . . . . . .

bus ek din sahil ko mouka mil hi gaya . . . . . . . .or pahunch gaya vo uske gar . . . . . . . . . anjali bhi us din
gar per bilkul akili thi . . . . . .

{FIR TO AAP SAMAJDAR HAI AAGE KI KAHANI SAMAJ HI GAYE HONGE . . . . . . }


are aap to kuch jyada hi samajdar nikle asa kuch nahi hua jesa aap soch rahe hai . . . . . .

sahil anjali ke gar per pahuncha jroor per jese hi vo uske gar pahunchta hai vese hi sahil ke papa use anjali ke gar ke samne se pakad lete hai or fir . . . . . . . bus shuru ho gaye "koun banega crorepati" ke sawal . . . . . sahil bechara hot sheet per bhetha hai or . . . . . . . . .chalo chodo aage ki kahani sunata hou . . . . . sory write karta hou . . . . . .

sahil itna acha mouka hath se ase hi thode hi jane dene wala tha . . . . . .
papa ko gar per chod kar fir pahuch gaya per haye re sahil ki kismat . . . . . . .is baar anjali ke papa aajate hai . . . . . .

bechara sahil . . . . . . . . . .

per koi baat nahi sahil afsos manane walo mai se kaha tha is baar puri planing thi or is baar sahil anjali ke gar nahi , anjali sahil ke gar aayegi . . . . . .

fir asa hota bhi hai or kya bus ho jata hai sahil ko pyar . . . . . . . .

{AB TO AAP SAMAJ CHUKE HONGE SAHIL KE PYAR KA MATLAB . . . . .}

ye sab to fir aksar chalta hi raha per jab exam aate hai to anjali to sahil se real love ke chakkar mai fail ho jati hai per sahil nikla chalak vo pass ho jata hai . . . . . . . . .

bechari anjali bevajah mai hi fail ho jati hai , ab to bus sahil ke liye anjali ke pass bolne ke liye sirf ek word hi rah jata hai . . . . . . . "PAGAL" . . . . . .
fir kya ek ke baad usse kai anjali jese ladkiyo se pyar ho jata hai . . . . .

bus iske baad or jyada explain nahi kar sakta story jyada lambi ho jayegi na . . . . .

{MORAL : KABHI KOI LADKI KISI LADKE KE CHAKKAR MAI APNI PADAI BARBAD NA KARE PER HAA AGAR KOI LADKA KARNA CHAHE TO KAR SAKTA HAI . . . . . . }

hello guyess bore ho gaye kya ? abhi meri story ko yu hi majak mai mat lijiye mai vakai sach kah raha hou ye ek love story hai . . . . TRUST ME . . . . . . .


PART IIIrd :


guyess plz be romantic . . . . .otherwise kahani mai maja nahi ayega . . . . . .
if you are studying in collage and you have a girlfriend so plz remember those moment when you get fall in love . . . . . . . . .


ab sahil zawan ho gaya hai or school ko chod kar collaga mai pahuch chuka hai. . . . .per uska vo pyar karne ka tarika nahi badla . . . . . vo ab bhi pyar ka matlab sirf sex hi samajta hai . . . . . .

naya naya collage naye naye dost per andaj vahi purana . . . . . . .class mai ladke 100 our ladkiya 10 ab aap hi sochiye kis kis ke hath mai kitni ayengi . . . . . .

per sahil is baar pure mood mai tha ki use ab kisi ladki ki taraf dhyan nahi dena ab use sirf padna tha . . . . . . . .
sahil ki to adat thi her kisi se dosti karne ki . . . .dost to uske sabi the per use kuch apne khas dosto ke pas bhethna acha lagta tha . . . bus fir kya sabse ending ki sheet usi ki gang se bhari hui thi . . . .
sabse peeche se puri class per najar rakhta our bus peeche se hi puri class ko oprate karta . . . . .
sahil ka dimag bahut tez tha master ke har sawal ka answer vo janta tha . . . .bus master ji koi sawal kare sahil ka hath uper . . . . master ne bhi fir usse puchna band kar diya or sahil ne bhi is baat ka khub fayda uthaya . . . . . . . sawal ka jawab pata ho ya nahi bus use hath uper karne se matlab . . . .

uski class mai ek ladki thi jiska naam tha pari sahgal . . . .
pari bahut hi achi our padne wali ladki thi . . . . masoom si , use kisi se matlab na tha bus apne kaam se kam . . . . . bolti to ase jese uske muh mai awaz hi na ho our bechari ko kitna dum lagana padta ho bolne mai jese abhi uska bolne ka mood nahi ho . . . . .vo class mai sabse sundar ladki thi, sirf sahil ke liye vese to class puri ki puri maal gadi thi . . . . .
pari sahil ko bahut achi lagti thi per usne bhe kasam kha rakhi thi ki vo sirf apni padai per dhyan dega . . . . . . . . .

pahle to sahil use gandi najar se dekhta tha per fir bhi uska dil nahi karta tha ki vo uske baare mai galat soche ya galat kahe . . . . asa pahli baar hua tha ki sahil ne kisi ladki ke baare mai galat na socha ho . . . . . . .

kuch dino ke nikal jaane ke baad collage mai fresher party hoti hai or party mai program bhi hote hai . . . . . .sahil bhi programm mai ek drama karta hai kyuki use to acting ka bhoot sawar hota hai . . . .
or fir pari bhi dance per chance marti hai . . . . . . .pari apne seniors ke sath milkar ek dance show karti hai . . . . . . . . . per ye sahil ko bilkul bhi acha nahi lagta per vo apne dil ko samjata hai ki vo hai koun use pari ki itni perwah kyu hai . . . . per dil hai ki manta hi nahi . . . . .

pari apne seniors ke sath kuch jyada hi franckly ho jati hai . . . . . . fir saare juniors ka introduction hota hai seniors se . . . . . jismai sare seniors juniors ke samne unki class ki sari items ki tarif karte hai or juniors se unki choice poochte hai . . . . . . . baari sahil ki aati hai or vo kounsa kisi se sarmanewala hai fadak se bol deta hai ki vo pari ko pasand karta hai . . . . . .
itne mai ek senior bol padta hai ki vo pari ko bhul jaye kyunki ab pari uske ek senior ki girlfriend hai . . . . . . . .sahil ko bahut bura lagta hai . . . .per fir vo bhi apne aap se kah deta hai ki use kya matlab use to sirf apni padai per dhyan dena hai . . . . .

collage mai fresher party wale din pooja hoti hai . . . or sare juniors pooja mai shamil hote hai . . . .
sab apne apne naye naye , dawat , functions mai pahanne wali dress pahan kar aate hai . . . . .pari bhi aati hai . . . us din pari itni sundar lagti hai ki sahil apne aap ko rok nahi pata or feelings mai bah jata hai . . . . per sahil usse kuch bhi nahi kahta . . . . . per pari to sahil ke dil mai gar kar jati hai . . . . . .

sahil man hi man usse wakai pyar karne lagta hai . . . . per pari uski feelings ko kaha samajne wali thi . . . . . . .

sahil ke is pyar ke baare mai kisi ko pata nahi hota bus uske bestfriend ko chodkar . . . . . kyunki sahil bevajah kisi sidhi sadhi ladki ko badnaam nahi karna chahta tha. . . . . . . . .or sahil ko ye bhi na pasand tha ki koi pari ko sahil ki girlfriend ke naam se call kare . . . . . . . .sahil pari ko propose karna chahta tha per ker nahi saka asa uski life mai pahli baar hua tha . . . .kyunki aksar use sirf fake love hi hua tha jismai feelings ki koi jaroorat nahi hoti . . . .per is baar uska pyar real tha. . . .

ek baar uske senior ka birthday hota hai or pari apne senoir ko birthday gift deti hai . . . . . . .
or gazab baat to dekho gift ko uski sahi jagah pahunchane ke liye bhi vo gift sahil ke bestfriend ko deti hai . . . . . . .per sahil ka best friend janta tha ki sahil pari ko bahut pyar karta hai to sahil ka bestfriend pari ko gift vapas kar deta hai our kahta hai ki vo ye gift khud hi de de . . . . . .
us din sahil puri raat bahut rota hai . . . . . . .kyunki he loves pari but pari dont love him. . . .
sahil sochta hai ki pari bhi uske senior vivek se pyar karti hai . . . . . .
sahil apni puri life mai kisi ladki ke liye nahi rota hai jitna vo pari ke liye rota hai per pari ye baat kaha samajne wali thi . . . . .
sahil fir usse bahut nafrat karne lagta hai per kar nahi pata kyunhi vo usse pyar karne lagta hai . . . . . . . . . . .pari sahil ko sirf ek dost samajti hai or isse jyada or kuch nahi . . . . . per sahil to pari ko hi sab kuch samajne lagta hai . . . . .

fir ek din pari ka birthday ata hai or pari bhi sahil or sahil ke bestfriend ko invite karti hai . . . . per sahil or uska bestfriend party mai nahi jaate hai kyu ye muje bhi nahi pata kyunki sahil pari se naraz tha or sahil naraz to uska bestfriend bhi naraz . . . . . . . . . . . .
sahil bhi bada ajeeb kism ka tha apne aap naraz bhi ho jata or apne aap fir maan bhi jata per samne wale ko pata bhi nahi padti ke vo kab usse naraj hua or kab man bhi gaya . . . . . . . . .

per fir sahil ko bahut bura lagta hai ki usne pari ka bevajah dil dukhaya . . . vo us din puri rat apni fresherparty ki vedio recording mai pari ki photo dekhta rahta hai . . . . . fir pure din ye sochta hai ki usse sorry kese bolu . . . . . . .
per uski kismat uska itna sath kaha dene wali thi bus kar diya nahle per dehla . . . . . .
pari galti se apni pani ki bottle sahil ki sheet per rakhi chod jati hai per sahil ko ye baat nahi pata hoti ke ye bottle pari ki hai . . . . . . . fir kya vo use tod maror ke fenk deta hai . . . . . . .or jab pari vapas akar apni pani ki bottle mangti hai to sahil ko pata chalta hai ki vo bottle pari ki hai . . . . . bechara sahil . . . . . . .fir kya sahil bottle mai hava bhar ke fir se fula deta hai or pari ko vapas kar deta hai . . . . . us din sahil ko pari ki sakal dekh kar itni hansi aati hai ki vo control nahi kar pata . . . . . . .yu kuppa sa muh fula leti hai pari . . . . . .per pari ko bahut bura bhi lagta hai . . . . fir vaad mai sahil ko bhi bura lagta hai . . . . . . . ab bechare ne kabi kisi ladki ko manaya ho to pata chale ke ladki ko kese manaya jata hai . . . . . . . . us pagal ne ek plain paper per apni roti hui photo banai or pari ki friend ko de di or friend ne pari ko de di . . . . . . . . . . fir pari maan bhi jaati hai . . . . .


fir sahil pari ke kafi close ho jata hai our unme aksar baat hone lagti hai . . . . . . . hello jyada wrong way jaane ki koi jaroorat nahi . . . .
unme sirf padai likhai ki baten hi hone lagi thi kyunki sahil ki himmat hi nahi hoti thi ki vo pari ko dil ki baat bata sake . . . . . .
sahil pari se bahut pyar karta hai ye baat pari nahi janti hai . . . . . . . per dheere dheere pari ko bhi ahsas hone lagta hai . . . . . .
per sahil to tha hi bilkul pagal vo to bahut darta tha apni dil ki baat kahne se . . . . . kyunki he is in real love . . . . .use apni koi parwah nahi thi per use sirf pari ki parwah thi kyunki agar sahil pari ko propose karta to pari ki bevajah badnaami ho jati . . . . .our agar mana bhi kar deti to sahil ka dil tut jata . . . . . . . . ise vajah se sahil pari ko propose hi nahi kar paya . . . . . . . . .

sahil pari se kabhi copy mangta hai our kabhi book . . . . . .our use koi bahana hi nahi ata tha ki vo pari se baat kar sake . . . . . . .
per sahil bhi kabhi bhi pari ki notebooks ko kholkar bhi nahi dekhta tha kyunki use konsi padai karni thi . . .
ab to pari bhi achi tarah samaj chuki thi ki sahil us per marta hai . . . . . per koi ladki thode hi kabhi pahle se propose karegi . . .
sahil bechara pagal ka pagal hi raha . . . . . .

collage ki dewali ki leave start ho jati hai or pari apne gar chali jati hai . . . . . . or sahil bhi . . . . . .per sahil ka gar per man nahi lagta bus har waqt vo pari ke vaare mai hi sochta rahta hai . . . . .

leave bhi khatam ho jati hai per pari collage wapas nahi aati hai . . . . . . . bechare sahil ka dil nahi lagta hai collaga mai . . . . . vo bus har waqt pari ke baare mai sochta hai . . . . . . . kai din ho jate hai per pari collage nahi aati hai . . .sahilbahut pareshan ho jata hai or vo ye janne ke liye apne bestfriend rohit ki helpleta hai or fir rohit bhi sahil ko ahsas kara deta hai ki he is in love . . . . real love . . . . .
fir dheere dheere sahil ko pata chal hi jata hai ki love ki sahi definition kya hoti hai . . . . . . . . sahil ko ahsas ho jata hai ki real love kya hota hai . . . .

jab kisi ko bina jante hue bhi chaho per use apne dil ki baat nahi bol pana bhi real love ka hi ek part hota hai . . . . .

sahil ko bus din raat ab pari ki hi fikra lagi rahti hai our bus yahi sochta rahta hai ki pari collage kyu nahi aa rahi hai . . . .

sahil ek din ache mood mai tha or bus man hi man gnguna raha tha . . . . . . .
tabi use pata chalta hai ki pari ki ek accedent mai death ho chuki hai . . . . . . .
sahil ke pero ke neche se jamin khisak jaati hai . . . . . . .pahle to kai dino tak vo vishwas hi nahi karta . . . . . . fir ek din use yakeen ho jata hai ki pari wakai mar chuki hai . . . . . . sahil bahut rota hai . . . . . . .bilkul pagal ho jata ha . . . . . bus use sirf pari hi nazar aati hai har jagah . .
use bahut afsos hota hai ki vo pari ko apne dil ki baat na kah saka our uska love adhoora hi rah gaya . . . . . . . .
vo bahut rota hai kyunki vo pari se bahut pyar karta tha . . . . . . . .
ab vo kare to kare kya . . . . . pagal tha jab time tha to dil ki baat kah na saka our jab waqt ne karvat li to ab khuda ko dosh dene se kya fayda . . . . . .bechare ka bina propose kiye hi dil tute gaya . . . . . . . fir ek din sahil samhal jata hai our fir se apni padai per dhyan dene lagta hai . .
or achanak uski nazar pari ki notebook per padti hai or vo pari ko fir se yaad karne lagta hai our vo us notebook ke panne palatne lagta hai
tabi vo dekhta hai ki notebook ke pahle page per hi pari ka mobile no. likha tha . . . . or sath mai ye bhi likha tha ki . . . .


"PAGAL KAB SE MERE PEECHE PADA HAI PROPOSE KAB KAREGA, MARJAUNGI JAB KAREGA KYA . . . . . . . PAGAL KAHI KA . . . . "



"THE END"


{MORAL : HAR KAHANI KI ENDING HAPPY ENDING NAHI HOTI HAI OUR AGAR KISI LADKI KO PYAR KARTE HO TO TURANT USE APNI DIL KI BAAT BATA DO VERNA . . . . . . . . VERNA KYA KOI OUR PATA LEGA . . . . .BHAISAHAB JAMANA BADA KHARAB HAI . . . . . . . . . . }


written by ,
VISHAL K RATAN




sory guyess mene to apne time pass ke liye ye story likhi thi . . . . .muje thoda jyada bolne ki adat hai isliye thoda jyada ho gaya . . . . .
sory . . . . . . . plz guyess ek baar plz muje "PAGAL" jaroor kahna muje acha lagega . . . . . . . .

guyess ab itni maharbani karkr apne meri "PAGAL" padi to thodi si maharbaani karke meri our bhi kai poem our shayriya bhi hai unhe bhi pad lene . . . plz . . . .muje acha lagega koi to mere blogs padta hai . . . . . . . agar aap mere blog padte hai to plz use FOLLOW bhi kijiye muje acha lagega our muje pata bhi chalega ki kin kin doston ne mere blog read kiye hai . . . . .

"RAM RAM"
"KHUDA HAFIZ"
"GODD BYE"
"SATSIRYAKAAL"

"YAAD KARKE"






"YAAD KARKE . . . "



yaad karke meri dosti ko tumne meri zindagi per ek ahsan our kar diya . .
aaz humne bhi tere saare gamo ko apne hatho se hi apne naam kar liya . . . .

chahte to hum bhi the tuje jee our jaan se . .
per aaz humne bhi tuje apne se begaana karke apne aap ko badnaam kar liya . . . .

humari is bafa ka tune is kadar inaam diya . .
humse hi humare dil ko hamesha ke liye mang liya . . . .

na teri khafa hai na meri khafa hai . .
ye to bus meri hi imandaari ki saja hai . . . .

jo tasweer na dikhaye vo aina kis kaam ka . .
jo musebat mai saath chod de vo tere jesa dost kis kaam ka . . .

dil ki band almaari mai dafan hai vo teri tasweer kahi . .
na jaane vo kitab ka koun sa fata panna hai jis per likhi hai meri taqdeer yahi . . . .

apni un baton se is kadar ghayal kar gayi . .
huyi jab humse khafa to apni khamoshi ka hi marhum laga gayi . . . .

jab dooriyo se itna hi pyar tha to kyu ki najdikiyo se dosti . .
ab hum nahi to kis bechare ke baare mai ho sochti . . . .

tumhari dosti hai gadhe ki poonch our kutte ki nasal . .
aaz meri bagal to kal kisi our ki bagal . . . .

"TERI CHAHAT"





"TERI CHAHAT . . . . "


na dil ki tammanna thi , na kabhi thi teri chahat . .
fir bhi tu mere itne karib thi, na dil ko chain aya our na hi kabhi rahat . . . .

chalti hui hawao se aaz humne bhi puch liya . .
kya koi baat kahi thi mere pyar ne ,
usne bhi fatkaar diya our kaha ki usne to tera naam tak na liya . . . .

hum yu hi samjte rahe ki vo bhi karte hai humse pyar . .
vo to humari nadani thi sirf hum hi karte rahe baar baar izhaar . . . .

kya khata thi meri ki fir kabhi peeche mudkar na dekha . .
aaz vo pathar bhi gawah hai jaha humne apna dil nikaal kar tha fenka . . . .

kyu lagaya hai tumne apni ankho mai gamand ka kazal . .
hum bhi hai aapke aashiq purane hume yu hi nahi kahte log awara pagal . . . .

humse do tuk baat karna bhi lagti hai tumko majboori . .
kya hum itne bure hai ki shakl bhi tum na dekho ,
our fir kaho ki humari prem kahani hai abhi adhoori . . . .

"KYA HAI KAHANI"






"KYA HAI KAHANI"


kya hai kahani agle pal ki kash muje maloom hota . .
paas hota sab kuch mere , fir kya bachta jo mai khota . . . .

na ye rab hota our na kabhi mai rota . .
rat ho ya din jab chahe mai sota . . . .

rukh zindagi mod deta mai ase . .
nadiyo se kati ho koi nahar jese . . . .

hawao se tez mai aage chalta . .
fir kyu aaz yu mai haath masalta . . . .

purani zindagi ko mai is kadar bhul jau . .
panne palat khoze koi to bhi kahi mai nazar na aau . . . .

apne is naye se reshmi libaaz mai, mai itna ram jau . .
kahi yaad kar pichle dino ko vahi na tham jau . . . .

dar hai ki kahi muje is rang mai nakara na jaye . .
adat padi hai logon ko mere us nakab ki ,
dar hai ki kahi muje usi nakab mai swikara na jaaye . . . .

ab to adat si hai muje yu akele mai rahne ki . .
na jaane vo koun si gadi hogi jismai mene apne aap se baten na ki . . . .

"KAHAN SE"



"KAHAN SE . . . . . "


aayi na jane kaha se yu chipkar . .
kiske hai layi dukho ko herkar . . . .

mene sapne yu dekhe aasmano mai udkar . .
jese aayi ho mere gar khud peron se chalkar . . . .

khusboo jese mahak rahi thi . .
mere man mai ase yu tahal rahi thi . . . .

tere naino se madira tapak rahi thi . .
mere man mai har paltu matak rahi thi . . . .

chanda bhi tuje dekh yu sharmaye . .
tare bhi tera swagat farmaye . . . .

khusiyo ki barish ho muj per tab tab . .
mud mud kar dekhe tu mujko jab jab . . . .

kabhi to mere samne aao mere sapno ki rani . .
heer ranza jesi bane meri teri bhi ek kahani . . . .

meri tanhaiyo ki ho tum ek kalpana . .
kabhi to samne aao na rah jaaye ye mera ek sapna . . . .

andekhi tasweer ho tum mere sapno ki . .
kabhi sagi bano tum mere apno ki . . . .


"I WISH"

" I WISH . . . ."

i wish . . . . i want be a film maker . .
but how ? now i m going to be a machine maker . . . .

chalo samajte hai engeeneir or doctor mai sambhandh . .
ye sach hai , na koi kavita , na koi nibandh . . . .

banna chahte hai sab log engg. our doctor . .
kya acha nahi lagta unhe banna the great outher . . . .

muje to bahut ache lagti hai padne mai history . .
na jaane kyu thop di gai muj per chemistry . . . .

jitni mai padta hou chemistry . .
usse dugni padta , hoti agar muj per history . . . .

scientists ne bana diye jaan leva hathiyaar . .
gandhi ji ne kya is din ke liye desh ko kiya tha teyar . . . .

atom bomb karte hai yudh ghamasan . .
kya gandhi ji ki lathi se nahi hota yudh asaan . . . .

jab scientists dikhayenge kar apna kamal . .
tab 100 saal baad itihaaskaar hi karenge dhamal . . . .

badi badi caron mai ghumte hai engg. . .
per sachin tendulkar aaz bhi hai sabke senior . . . .

joro per hai engg. banne ki factory . .
kalakaro ke hi hote hai engg. or dr. secetory . . . .

bano engg. janenge log char . .
per shayad bano kalakar janenge log hazar . . . .

kitne engg.s or dr.s ko jante hai log . .
per harivansh ray bachan ke nidhan per jataya tha sabne sok . . . .

stadium ko banane mai engg. ko yaad kiya jata hai ek baar . .
per khelne bala yaad kiya jaata hai baar baar . . . .

sochta hou ban jau petrochemical engg. . .
per kya karu sara petrol to kharch kar denge mere senior . . . .

pure newspaper mai puti rahti hai engg. or dr. ki kahani . .
tano ke roop mai sunta hou pura newspaper papa ki jubani . . . . .

har saal bante hai dr. our engg. anek . .
per shayad kalakaar hota hai aneko mai ek . . . .

is jamane mai hai sabhi ke liye diploma corce . .
ab force mai jaane ke liye bhi chahiye puri sorce . . . . .

kaale hai kanha , kaale hai shiv shankar . .
fir english kyu ban jaati hai rah ka kankar . . . .

hindi hindu hindustaan , english hai pakistan . .
angrezo le jao apni english nahi to bana denge englistan . . . .

kash mai peda hua hota angrejo ke shahar mai . .
kam se kam english ke peeche pitata na apne gar mai . . . .

newspaper mai nikalte hai roz percha pe percha . .
sochta hou ho kabhi inme meri bhi charcha . . . .

agar premchand ban gaye hote engg. ya doctor . .
to kya kahta unhe koi the great outher . . . .

suna hai outher banne ke liye hai kai corse . .
isse acha to karu desh seva join kar lu force . . . .

lakho log ban kar engg. jate hai america . .
kya hayi hai un sab ka desh prem ka tarika . . . .

papa kahte hai lao Ist to milegi mithai . .
agar hua fail to sale hogi teri kutai . . . .

lagaya gaal per to proove ho gaya friction . .
zindagi mai pahli baar hua electrons ke sakshat darshan . . . .

yaad aa gaya muje radharford ka atomic model . .
jab mummy ne de mujme fenk kar sandle . . . .

ab kya karu fail hokar socha ban jau singar . .
nahi sudhri awaz dal-dal gale mai mar gaya fingure . . . .

radha gori , meera gori , gori hai devi parvati . .
kyu nahi pass kiya muje , kitni ki maine tumhari arti . . . .

monika pass , neha pass , pass ho gaya raja . .
fir muje fail karke kyu bajwa diya mera bandbaja . . . .

internet per de result dikha di meri oukaat . .
bhul gaye bhagwan vo mandiro mai meri tumhari mulakat . . . .

agar koi hai hunar to le lo shortcut . .
bhaiya engg. bankar to ye zindagi hai badi longcut . . . .


"DUDE SONG"





"DUDE SONG . . . . "

uper pankha chalta hai , neeche beta sota hai . .
sote sote pyas lagi , pee le beta whiski . .
whiski mai ice nahi , humari koi wife nahi . .
wife is my near , uske paas hai 2 bear . .
ek bear khali , sab ladko per dali . .
saali ke paas hai gutkha , gutkhe mai dana nahi . .
humara koi apna nahi , apno ne mari laat . .
chal padi barat , barat mai do bache . .
gutkha , sigrate ache . . . . .

"DASTAK"






"DASTAK . . . "

dil ke band darwaze per aaz dastak di kisne . .
kuch dafan armano ko ujagar kiya kisne . . . .

kya hai paheli mere anjaane pyar ki . .
koun hai vo jise jaroorat hai muj jese yaar ki . . . .

har pal hai teri tasweer mere un khayalo mai . .
jinda hai tu mere un puraane sawalo mai . . . .

ishwar ko kitni perwah hai meri chahat ki . .
jo tuje yu banaya , tarasha pyar ki milabat ki . . . .

apne har katre katre per likha hai mene naam tera . .
kabhi aazma lena sacha pegam hai ye mera . . . .

kaise karu mai teri chand se paribhasha . .
dil mai dafan hai tu meri iklouti abhilasha . . . .

chalte chalte aaz sadko per yu mod aagaya . .
achanak se tuje dekhkar hume tujper pyar aagaya . . . .

aaz kai saalo baad hume dil mai kami si khal gayi . .
tuje dekh kar hume vo kami yaad aagayi . . . .

tujko pane ki hai ab meri agli tammanna . .
ye sach hai kahi ise majaak na samajna . . . .

"BAKWAAS"




"BAKWAAS"

Bachpan mai ki thi mene bhi ek bakwass. .
haram nagar ka arampur hai mera nizi awass. . . .

jab tha mai 5 saal ka to karta tha bahut fashoin. .
us samay tha mera kuch alag hi apna passion. . . .

jeb mai lagakar mai ghumta tha pani ki banduk. .
nigaho mai bus chuka tha vo mere lal sandook. . . .

jismai rakhi rahti thi humesha saari toffiya. .
per papa pakda dete muje der saari kitab copiya. . . .

baste mai thi mere science or maths ki book. .
per muje kaha milta tha inme sukh. . . .

ladka to tha mai bada shararti. .
kyuki dulha sirf mai vaaki sab varati. . . .

muje padne mai achi lagti thi kahaniya . .
en sab mai raja mai or kai sari meri raniya . . . .

mai to chalata tha bahut tez cycle . .
dance karta tha jese hu kal ka micle . . . .

kagaj ki bana kar peeta tha cigrate . .
samajta ase jese hou aaz ka bilgrate . . . .

sapno mai dekhta mai lambi lambi caro ko . .
noukri per rakhta mai bade bade sitaro ko . . . .

dibbe , dibbiyo ko samaj leta mai truck or car . .
jinme bheth kar bajata ganto khwabo ki guitar . . . .

school na jane ke liye muje bharna padta fine . .
papa karte gaal per fir 5 no. ka sine . . . .

acting mai daru pee k kahta - mummy chahiye lugai . .
is chakkar mai papa ne lagai kai bardhunai . . . .

jid karta mai convent school mai padne ki . .
fir to adat si ho gai chungi ke school mai sadne ki . . . .

bandar maarne ki aadat thi muje gilour se . .
dant toot kar hath mai agaye , gira jab mai IIIrd flore se . . . .

patang lootne ke chakkar mai kai bar kudha mai chat se chat . .
ek baar papa ko pata padi to faad di patang jat pat . . . .

meri mummy mere sawalo ke teero ko chup chap sahti . .
naak to meri ase bahti jese ganga yamuna saraswati . . . .

hui ek din meri ase ladke se ladai . .
muje kya pata thi ki usi din thi uski sagai . . . .

gali mai daku dakket singh naam tha mera . .
dada giri chalana kam tha mera . . . .

roz pitne ki khurak milti muje har sham . .
per papa hi late har rat khane ko pake aam . . . .

jab kabi pahunchte papa school to vaha bhi the mere khub haalle . .
kyunki har gend per tutati khidki jabchalte mere balle . . . .

tai mai tai bhandhkar ki mene ek ladke se ladai . .
pahle master ne fir principal ne lagai dhunai . . . .

gali mai nikalta tha pahan ke jeanse ki mahngi pent . .
khub lagakar chalta tha mai khushboo wali sent . . . .

masani station per ganto bhethta mai karke school bunk . .
vahi bharta mai apne apno mai naye naye rang . . . .

ho gaya tha mai us station ka pura guide . .
ata koi jankaar to ho jata sabse side . . . .

kai log muje vaha na bhethne ki dete shiksha . .
fir unka kya hota jinhe mai deta tha roz bhiksha . . . .

char dosto ki dosti thi hamari badi pakki . .
jinmai sabse acha tha lucky . . . .

khambe per rakhkar lagate daru ki bottle per nishana . .
sabko pata tha masani hai unka ek matra thikana . . . .

ho gaya 10th pass , ane lagi muje akal . .
mene our vipin ne bhi ki thi jamkar nakal . . . .

papa aye to hath mai hoti thi kitab our copy . .
papa gaye to bahar nikalkar chakk udate toffi . . . .


pure school ke ladko ke liye tha mai hero . .
per teacher samajte muje sabse zero . . . .

tornedo club ke naam se darte the sabhi log . .
jab hum teen dost ho jate sath to mach jata shor . . . .

film dekhne jate hum log bina ticket . .
kyunki vo tha bilkul humare school ke nikat . . . .

jate bazar roz kyunki khane ka shokh tha dosa . .
niyam tha mera roz khata tha samosa . . . .

chess khelne mai ho jate sabhi mujse fail . .
kyunki harne ki bari aati to bigad deta pura khel . . . .

purani se motarcycle per chalte dost teeno . .
khub mouj masti our maje kar rahe the hum un dino . . . .

majak mai hi fod dete ek dusre ka sir . .
todi der mai ro peetkar ho jati thi dosti fir . . . .

11th mai hi jante the teeno car . .
fir bhi nahi le ja sakte the gar ke paar . . . .

socha pad le aa gaya 11th ka ant . .
nahi yaad hui phisycs to laga ban jau sant . . . .

ek baar madam ne kaha chalo koi acha sa gana gao . .
jab gaya "bidi jalaile" to sir bole iske gaal per ek chanta lagao . . . .

dost bhi dete the sirf shukh mai sang . .
jab hota hai gum to ud jate hai duniya ke sare rang . . . .

rango mai khelne valo ke raja ko lagti hai duniya berang . .
kyunki har badshah bhi apne aap dukho ki kahani rachta hai apne sang . . . .

uperwale na neeche wale sab karte hai hum bheech wale . .
fir bhi kyu ho jate hai hum apno ke liye bahar wale . . . .

mere papa batate mere dosto ko mujse jyada hoshiyaar . .
unke papa bhi to muje batate unse jyada samajdaar . . . .

kisi ke papa ko nahi pata ki kiska beta hoshiyaar . .
sabkahte hai dekho us ladke ko jo lagta hai kitna samajdaar . . . .

un dino tha humara khub jalva . .
sabke tifin se kha jata mai sara halwa . . . .

kuck log kar dete meri jhoothi tarif . .
per unhe kya pata tha galti ki kitni vaariq . . . .

padai ki lagan hoti sirf july , agust . .
april aate aate ho jata sara hosla past . . . .

man se sochta kuch jaroor kar ke dikhaunga . .
per muje kya pata tha sirf chemistry mai hi ro jaunga . . . .

umra thi vo meri sirf 13 saal ki . .
din the gumne firne ki , bachpan chodne ke . . . .

shokin ban chuka the , dekhne ki filme . .
sach lagne lagi the vo hall ke haseen lamhe . . . .

ab to sapna ban chuka tha mera ki banaunga apni bhi filme . .
kai kai rang barunga apni chahat ke jinme . . . .


















"ASI BAFA HAI"





"ASI BAFA HAI . . . . "


chemistry sali ek asi bafa hai . .
rat ko yaad per subhah sab safa hai . . . .

neend ud gayi raton ki yaad karte karte H2SO4 . .
ab hume kya pata alpha , beta , gamma chali na jane kis or . . . .

neutron , electron , proton ne barwad kar diya mera pura bhachpan . .
umra lagti hai ab 15 se pachpan . . . .

thak chuke hai karte karte normality or molality ke sawal . .
hame to lagte hai ye chemistry ke bade bade babal . . . .

puri saal nikal gayi samajte samajte quantum . .
hame to lagte hai ye koi bomb of the atom . . . .

ensteen de gaye E=mc2 ka vardan . .
shayad ye to hai unka vyarth balidaan . . . .

11th mai hai chemical boigraphy ka pura samadhan . .
itne saal gujar gaye , pahle se kyu nahi kiya sabdhan . . . .

vese to address hoti hai atom ka electronic vinyaas . .
humne to soch liya hai lenge hum chemistry se sanyaas . . . .

bayumandal mai kam milti hai akriya gase . .
hume nahi samaj mai ata ki yaad kare kese . . . .

dravya ki hoti hai 3 avasthaye . .
solid, liqued , gas ko lakar hai humari aneko samasyaye . . . .

nahi samaj mai ata hume elements ka secrate . .
esse to acha hai udhalo bat ball our khelo cricket . . . .

N2 or 3H2 se milkar banti hai amoniya . .
in reactions ko dekhkar hume hone laga nimoniya . . . .


bahut dangrous hote hai thorium our urenium . .
inke peeche bhool jate hum saare niyam . . . .

nahi yaad hume elements ke rang . .
koi to de do isko samajne mai humara sang . . . .

D-Broglei de gaye dual nature principal . .
kisko pata ? kya hai uska aane wala kal . . . .

i dont know how to find oxidation no. . .
agar itna hi pata hota to nahi janta mai find karna valancy no. . . . .

11th nikal gayi aa gaya 12th ka ant . .
ab tak nahi samaje hum rasaynik bandh . . . .

namak ke tejab ko vese kahte hai HCL . .
kintu namak ko to kahte hai NACL . . . .{BUT WHY}

hansne wali gas ko kahte hai hum N2O . .
yaad karke thak chuke hai pahle peene do H2O . . . .

kya hai aml our kya hai skhar . .
koi to samjao ise mere yaar . . . .

ab to samaj mai aane laga chemistry ka mahatva . .
nikal aya meri mahnat ki padai ka pura satva . . . .

ye sab to vichar the mere bachpan ke . .
kya khilaunga jab papa honge mere pachpan ke . . . .

NOW A DAYS WE CAN SAY . . . . . . .

chemistry ek asi bafa hai . .
na pado to saja magar pado to maja hi maja hai . . . .












"AAP MIL GAYE"






"AAP MIL GAYE . . . "



muje kese na jaane aap mil gaye . .
samundar ki lahro se muje yu hi bacha le gaye . . . .

mere jeevan ka rukh mod diya ase . .
kisi nadi se kati ho nahar koi jese . . . .

muj dubte ko yu sahara sa de diya . .
is anjaan basti mai muje apna sa bana liya . . . .

muj langde ko beshakhi ka sahar mil gaya . .
aapse milkar meri aankho ki talaash ka sitara mil gaya . . . .

karu mai ibaadat us khuda ki , jisne aapse hai muje milaya . .
our sirf aap hi ne muj apahiz ho chalna sikhaya . . . .

zindagi ki dhadkano mai atke the hum bhi ek din . .
aapse mile to sans lene ka sabab aaya hume bhi ek din . . . .

zindagi jeene ka yu andaz badla humara . .
jab mila yu hume aapka thoda sahara . . . .

har pal hai tasweer aapki mere khayalo mai . .
mere har sawal ka jabab hai aapke nek irado mai . . . .

karo yu vada aap humse , hamesha saath nibhaoge . .
kholu mai ankho ka darwaza to aap hamesha samne nazar aoge . . . .

"BABRA"






"BABRA . . . . "


teri ankhiyo ne kiya muje yu babra . .
jese radha ko dekh deewana hua tha samwara . . . .

tujse bichadne ka dar is kadhar cha gaya . .
kuch kahne ka hume aapse aaz sabab aagaya . . . .

kuch kahne laga mai tumse to mere shabd na nikle . .
tere samne apna naam lene mai bhi ye jubaan fisle . . . .

puri vesi hai tu , jesi mangi thi mene rab se . .
apni si lagne lagi hai tu muje ab se . . . .

karu mai ibaadat us khuda ki , jisne hai tuje banaya . .
kyu khata ki humne jo tujse dil lagaya . . . .

dil lagi ka kya diya tune muje sila . .
hume to humesha dard ke siva our kuch na mila . . . .

meri is bebasi ka majak na banao . .
zindagi ne ye sikhaya ki kabhi kisi se dil na lagao . . . .

"DHANYAWAAD"






"DHANYAWAAD"


hey mere ishwar tumhe mera dhanyawaad arpan . .
dhikhaya jo tumne muje sansar ka darpan . . . .

tere hi hokar tujko pukare . .
rat din yu tuje hi nihare . . .

manga hai tujko tuje se oh data . .
tere braksh ke hai hum bhi ek shakha . . . .

kya hai paheli mai na samaj pata . .
hum hi hai murti tum hi ho nirmata . . . .

tu hi to hume yu chalna sikhata . .
sare ke sare tu khel khilata . . . .

sir per banke humare yu chatt . .
sare gamo se hume tu bachata . . . .

janm marn ki kya hai ye gatha . .
data our grahi ka hai tera mera nata . . . .

sab kuch ye mera tuji ko samarpan . .
hey mere ishwar tuje mera dhanyawaad arpan . . . .