Sunday 4 March 2012


"POLLYTHENE"

"Mere yaro ko apne is yaar ka salam,
pahchano yaro! kyunki "V!$h@L" hai mera naaam"

likhne ka mood hua to likhne bheth gaya hou,
kavi na mai koi shayar bus duniya ko dekh rone bheth gaya hou,,



Mere dosto ko mera pyar bhara NAMASKAAR!

Mai kisi ko koi faltu script likh kar bore nahi karna chahta hou . . . ..
bus mera ek chota sa message hai jise apne dosto tak pahuchana chahta hou. . . .


Bahut samay pahle ki baat hai, Devtao ke raja indra our unke saathi swarg mai raha karte the. . . .
Din bhar apsarae nacha karti thi our raat hote hi devta madira pee ke khud. . . .

Bechare rakshas bade pareshan !

swarg ke charo taraf ghumte rahte !

sochte ek jalak to dikhe is swarg ki sundarta !

rakshaso se rakshaso ki patniya pareshaan !

un sab mai sabse bhayankar rakshasni thi ethyline !

usne bhi tay kar liya ki na rahega bans our na bajigi bansiiii !

kar di chadai swarg per !

usne to devtao ko halke mai le liya !

per bhens ki ankh ! devtao ne bhi ethyline ko pachad pachad ke mara !

marte marte prathvi tak le aaye !

bechari ethyline bhagte bhagte jangalo mai chip gayi !

fir usne maa kaali ki ghor tapasya ki !

tapasya se khush hokar maa kaali ne use amar rahne ka vardaan de diya !

ethyline ne fir se swarg per chadai kar di our devtao ko haraya !


devta bechare bhagte bhagte maa kaali ke paas pahunche  . . .. . .

maa kaali ne fir ethyline se naraj hokar use shrap diya ki vo humesha ke liye prathvi per chali jaaye our kabhi vapas na aaye !



Bus mere yaaro yahi hai vi ethyline jo aaz hume pollythine ke roop mai pareshaan kar rahi hai . . . .


plz agar tum is duniya ko apne future mai aane wale bete our betiyo ko save life dena chahte ho to plzzzzz avoid it. . .

bus ek yahi hamari sabse badi dushman hai jo sabse jyada pollution karti hai . . . .

hum bus ek pani ki theli lere hai ! maje se peete hai, our peech ki taraf fenk dete hai, our apne raste chal dete hai !

bus yahi kiya humne sabse bada gunah!

yahi ek pollythine hava mai udegi our fir naali mai jaayegi . . ..
naali mai jakar paani ko rokegi !
pani rukega to pollution !

fir yahi pollythine naali se nikal kar kisi river mai ja giregi . . ..

agar river ke paani ke uper rahegi to pollution !
neeche rahegi to pollution !
pollythine hi pane ke flow ko rokegi!
fir yahi pollythine paani ke saath kheto mai jayegi . . ..
kheto mai jayegi to fir zammen ki upzau shakti ko kam kareki our zameen ko banzar banayegi  . .. . !

per guyes goverment ne pollythene per band laga diya our ab paper ka use pollythene ke jagah hone laga hai . . . .

i think it is bad thing bcoz pollythene ko to pollymers se bana sakte hai per kagaj ko ko pede ko kaat ker hi banana padega!

soch lo guyess tumhe forest trees jyada pasand hai ya pollythen. . 
ab kini ek ko chun na padeha  . . . . .


good byeeeeee ..........