Sunday 1 January 2012

"ASI BAFA HAI"





"ASI BAFA HAI . . . . "


chemistry sali ek asi bafa hai . .
rat ko yaad per subhah sab safa hai . . . .

neend ud gayi raton ki yaad karte karte H2SO4 . .
ab hume kya pata alpha , beta , gamma chali na jane kis or . . . .

neutron , electron , proton ne barwad kar diya mera pura bhachpan . .
umra lagti hai ab 15 se pachpan . . . .

thak chuke hai karte karte normality or molality ke sawal . .
hame to lagte hai ye chemistry ke bade bade babal . . . .

puri saal nikal gayi samajte samajte quantum . .
hame to lagte hai ye koi bomb of the atom . . . .

ensteen de gaye E=mc2 ka vardan . .
shayad ye to hai unka vyarth balidaan . . . .

11th mai hai chemical boigraphy ka pura samadhan . .
itne saal gujar gaye , pahle se kyu nahi kiya sabdhan . . . .

vese to address hoti hai atom ka electronic vinyaas . .
humne to soch liya hai lenge hum chemistry se sanyaas . . . .

bayumandal mai kam milti hai akriya gase . .
hume nahi samaj mai ata ki yaad kare kese . . . .

dravya ki hoti hai 3 avasthaye . .
solid, liqued , gas ko lakar hai humari aneko samasyaye . . . .

nahi samaj mai ata hume elements ka secrate . .
esse to acha hai udhalo bat ball our khelo cricket . . . .

N2 or 3H2 se milkar banti hai amoniya . .
in reactions ko dekhkar hume hone laga nimoniya . . . .


bahut dangrous hote hai thorium our urenium . .
inke peeche bhool jate hum saare niyam . . . .

nahi yaad hume elements ke rang . .
koi to de do isko samajne mai humara sang . . . .

D-Broglei de gaye dual nature principal . .
kisko pata ? kya hai uska aane wala kal . . . .

i dont know how to find oxidation no. . .
agar itna hi pata hota to nahi janta mai find karna valancy no. . . . .

11th nikal gayi aa gaya 12th ka ant . .
ab tak nahi samaje hum rasaynik bandh . . . .

namak ke tejab ko vese kahte hai HCL . .
kintu namak ko to kahte hai NACL . . . .{BUT WHY}

hansne wali gas ko kahte hai hum N2O . .
yaad karke thak chuke hai pahle peene do H2O . . . .

kya hai aml our kya hai skhar . .
koi to samjao ise mere yaar . . . .

ab to samaj mai aane laga chemistry ka mahatva . .
nikal aya meri mahnat ki padai ka pura satva . . . .

ye sab to vichar the mere bachpan ke . .
kya khilaunga jab papa honge mere pachpan ke . . . .

NOW A DAYS WE CAN SAY . . . . . . .

chemistry ek asi bafa hai . .
na pado to saja magar pado to maja hi maja hai . . . .












No comments: