Sunday 1 January 2012

"BAKWAAS"




"BAKWAAS"

Bachpan mai ki thi mene bhi ek bakwass. .
haram nagar ka arampur hai mera nizi awass. . . .

jab tha mai 5 saal ka to karta tha bahut fashoin. .
us samay tha mera kuch alag hi apna passion. . . .

jeb mai lagakar mai ghumta tha pani ki banduk. .
nigaho mai bus chuka tha vo mere lal sandook. . . .

jismai rakhi rahti thi humesha saari toffiya. .
per papa pakda dete muje der saari kitab copiya. . . .

baste mai thi mere science or maths ki book. .
per muje kaha milta tha inme sukh. . . .

ladka to tha mai bada shararti. .
kyuki dulha sirf mai vaaki sab varati. . . .

muje padne mai achi lagti thi kahaniya . .
en sab mai raja mai or kai sari meri raniya . . . .

mai to chalata tha bahut tez cycle . .
dance karta tha jese hu kal ka micle . . . .

kagaj ki bana kar peeta tha cigrate . .
samajta ase jese hou aaz ka bilgrate . . . .

sapno mai dekhta mai lambi lambi caro ko . .
noukri per rakhta mai bade bade sitaro ko . . . .

dibbe , dibbiyo ko samaj leta mai truck or car . .
jinme bheth kar bajata ganto khwabo ki guitar . . . .

school na jane ke liye muje bharna padta fine . .
papa karte gaal per fir 5 no. ka sine . . . .

acting mai daru pee k kahta - mummy chahiye lugai . .
is chakkar mai papa ne lagai kai bardhunai . . . .

jid karta mai convent school mai padne ki . .
fir to adat si ho gai chungi ke school mai sadne ki . . . .

bandar maarne ki aadat thi muje gilour se . .
dant toot kar hath mai agaye , gira jab mai IIIrd flore se . . . .

patang lootne ke chakkar mai kai bar kudha mai chat se chat . .
ek baar papa ko pata padi to faad di patang jat pat . . . .

meri mummy mere sawalo ke teero ko chup chap sahti . .
naak to meri ase bahti jese ganga yamuna saraswati . . . .

hui ek din meri ase ladke se ladai . .
muje kya pata thi ki usi din thi uski sagai . . . .

gali mai daku dakket singh naam tha mera . .
dada giri chalana kam tha mera . . . .

roz pitne ki khurak milti muje har sham . .
per papa hi late har rat khane ko pake aam . . . .

jab kabi pahunchte papa school to vaha bhi the mere khub haalle . .
kyunki har gend per tutati khidki jabchalte mere balle . . . .

tai mai tai bhandhkar ki mene ek ladke se ladai . .
pahle master ne fir principal ne lagai dhunai . . . .

gali mai nikalta tha pahan ke jeanse ki mahngi pent . .
khub lagakar chalta tha mai khushboo wali sent . . . .

masani station per ganto bhethta mai karke school bunk . .
vahi bharta mai apne apno mai naye naye rang . . . .

ho gaya tha mai us station ka pura guide . .
ata koi jankaar to ho jata sabse side . . . .

kai log muje vaha na bhethne ki dete shiksha . .
fir unka kya hota jinhe mai deta tha roz bhiksha . . . .

char dosto ki dosti thi hamari badi pakki . .
jinmai sabse acha tha lucky . . . .

khambe per rakhkar lagate daru ki bottle per nishana . .
sabko pata tha masani hai unka ek matra thikana . . . .

ho gaya 10th pass , ane lagi muje akal . .
mene our vipin ne bhi ki thi jamkar nakal . . . .

papa aye to hath mai hoti thi kitab our copy . .
papa gaye to bahar nikalkar chakk udate toffi . . . .


pure school ke ladko ke liye tha mai hero . .
per teacher samajte muje sabse zero . . . .

tornedo club ke naam se darte the sabhi log . .
jab hum teen dost ho jate sath to mach jata shor . . . .

film dekhne jate hum log bina ticket . .
kyunki vo tha bilkul humare school ke nikat . . . .

jate bazar roz kyunki khane ka shokh tha dosa . .
niyam tha mera roz khata tha samosa . . . .

chess khelne mai ho jate sabhi mujse fail . .
kyunki harne ki bari aati to bigad deta pura khel . . . .

purani se motarcycle per chalte dost teeno . .
khub mouj masti our maje kar rahe the hum un dino . . . .

majak mai hi fod dete ek dusre ka sir . .
todi der mai ro peetkar ho jati thi dosti fir . . . .

11th mai hi jante the teeno car . .
fir bhi nahi le ja sakte the gar ke paar . . . .

socha pad le aa gaya 11th ka ant . .
nahi yaad hui phisycs to laga ban jau sant . . . .

ek baar madam ne kaha chalo koi acha sa gana gao . .
jab gaya "bidi jalaile" to sir bole iske gaal per ek chanta lagao . . . .

dost bhi dete the sirf shukh mai sang . .
jab hota hai gum to ud jate hai duniya ke sare rang . . . .

rango mai khelne valo ke raja ko lagti hai duniya berang . .
kyunki har badshah bhi apne aap dukho ki kahani rachta hai apne sang . . . .

uperwale na neeche wale sab karte hai hum bheech wale . .
fir bhi kyu ho jate hai hum apno ke liye bahar wale . . . .

mere papa batate mere dosto ko mujse jyada hoshiyaar . .
unke papa bhi to muje batate unse jyada samajdaar . . . .

kisi ke papa ko nahi pata ki kiska beta hoshiyaar . .
sabkahte hai dekho us ladke ko jo lagta hai kitna samajdaar . . . .

un dino tha humara khub jalva . .
sabke tifin se kha jata mai sara halwa . . . .

kuck log kar dete meri jhoothi tarif . .
per unhe kya pata tha galti ki kitni vaariq . . . .

padai ki lagan hoti sirf july , agust . .
april aate aate ho jata sara hosla past . . . .

man se sochta kuch jaroor kar ke dikhaunga . .
per muje kya pata tha sirf chemistry mai hi ro jaunga . . . .

umra thi vo meri sirf 13 saal ki . .
din the gumne firne ki , bachpan chodne ke . . . .

shokin ban chuka the , dekhne ki filme . .
sach lagne lagi the vo hall ke haseen lamhe . . . .

ab to sapna ban chuka tha mera ki banaunga apni bhi filme . .
kai kai rang barunga apni chahat ke jinme . . . .


















1 comment:

ANUJEET said...

A period piece, for sure. I love the last stanza.